Chay (6) sala jeehu apne kamre main rkhe bed se tek lgaye lakri ke bne floor pr bethi thi. Dono hath kanon pr rkhe wo jese bahar se ati awazon ko rokna chahti thi lekin us k chote chote hath awazon ko rokne k liye nakafi thy.
261Please respect copyright.PENANAJ5jbBUhIUT
Jeehu ke kamre se bahar ao to kuch kadam chlte he neeche jati seedhian nazar ati thin . kuch seedhian utro to samne ka manzar saaf dikhai dene lgta tha.
261Please respect copyright.PENANA0j6CkjAR0Q
Neeche wo dono ek dusre pr chila rhe thy. Eomma appa ko inki zarooriyat poori na krne ka tana de rhi thin jab ke appa eomma ko ek laparwa maa hone ka.
261Please respect copyright.PENANA95jmfzrhQX
(korean main mother ko eomma jb k father ko appa kehte hain)
261Please respect copyright.PENANAxA9z2qGBVD
Aj kal ye lrai roz ka mamool thi. Wo dono is he trhn kisi na kisi baat pr ek dusre se lrte rehte thy. Lekin ek shaks jo in laraion ka aadi nhe ho pa rha tha wo jeehu thi.
261Please respect copyright.PENANAxvQQpuQDXH
Sb se pehle appa ki nazar Jeehu pr pri. Wo chay sala masoom si bachi seedhion pr khri thi rone se is ki ankhain sooj gai thin. Is wqt duniya jahan ka dar uski ankhon main saaf nazar arha tha.
261Please respect copyright.PENANAGBzpm98wpd
Min cha ko apni beti se be intiha muhabbat thi Jeehu ko is trhn dekh kr unhain hamesha bht takleef hoti thi.
261Please respect copyright.PENANAutiaaep9Wo
Wo jaldi se is ki taraf bre or issey godd me uthate wapis uper kamre main le jane lgy jb k Jeehu apni maa ko ghusse main ghr se jata dekh skhti thi.
261Please respect copyright.PENANA3AqocZ9I85
Appa isko sath lgaye bed pr lait gaye. Wo apne baap k seene se lgi bina awaz ro rhi thi ankhon se ansun musalsal jaari thy pr zaban pr koi sawal nhe tha.
261Please respect copyright.PENANA8G6JieXfqv
Jeehu aesi he thi khamosh tbaa, masoom si lekin bht smjhdar.
261Please respect copyright.PENANAIbHHWvV4bv
Min cha ko apni beti ki smjhdari se kabhi kabhi dar lgne lgta tha. Itni choti bchi ke liye itna smjhdaar hona thk na tha.
261Please respect copyright.PENANAvGMYENvQZW
Wo chahte thy Jeehu bhi aam bchon ki trhan khele, batain kre pr wo bht koshish ke bawajood bhi Jeehu ko ek acha gharelu mohol dene main kamyab nhe ho paye thy.
261Please respect copyright.PENANAJcI6KkMHij
Jeeu khamoshi se rote huye or appa us k baalon main pyar se hath pherte huye kab nend ki wadion main kho gaye un dono ko khabar naa hui.
261Please respect copyright.PENANAfwv4w9IH6T
**********
261Please respect copyright.PENANATXGSoKBCGA
Aj seoul mai hr taraf kale badlon ka deera tha. Poora asmaan badlon se dhaka hua tha. Aj jb Jeehu subha uthi to appa ko apne brabar betha hua paya wo is ke balon main pyar se hath pher rhe thy.
261Please respect copyright.PENANAXcAd9Q6NEV
Un k chehre pr muskurahat thi. Wo chay sala bchi chehre prhna to nhe janti thi pr baap ki ankhon main chupi udasi usse saaf dikhai de rhi thi.
261Please respect copyright.PENANA8i6fs2h9tt
Min cha beti ko school ke liye tayar krne ke baad is ko school chorne ke liye nikal pre.
261Please respect copyright.PENANAabCl8VfcXM
Raaste bhar wo jeehu se batain krte rhe thy. Jeehu ko hansta muskurata school chor kr wo wapis ghr ki taraf rawana hogaye.
261Please respect copyright.PENANAyraWiZXocB
Wo jante thy ghr me hoti roz roz ki laraiyan Jeehu ki shakhsiyat (personality) bht mutasir kr rhi hain.
261Please respect copyright.PENANAB4zcvEIFj4
Pehle wo Jeehu ke samne sb normal zahir krne ki koshish krte thy pr ab wo thk chuke thy.
261Please respect copyright.PENANAvlVGTHY6ML
Wo ab depression me mubtula rehne lgy thy. Aj Jeehu k sath waqt guzar kr unhain bhi behtar mehsoos ho rha tha.
261Please respect copyright.PENANAK6GKpk57Fn
Wo chehre pr muskurahat liye ghr main dakhil huye to samne ka manzar dekh kr kuch der pehle wala sara sakoon khtm hogaya, unka sar chakrane lgaa.
ns3.145.87.56da2