Aj seoul main kale badlon ka ghera tha. Kabhi bhi barish shuru ho sakhti thi. Sardi ki shiddat ke bais us ne coat abhi bhi pehen rkha tha. Office se chutti ke baad yahan akr bethna is ka roz ka mamool tha or amoman (usually) coat is ke hath main he hota tha.
336Please respect copyright.PENANAl9FE4HQ0sf
Wo park main mojood jis park main betha tha wahan samne he is ka ghr tha. Jahan wo joon ke sath rehta tha. Joon korean tha. Usually Joon or Arsalan dono ke paas ghr ki keys hoti thin lekin Arsalan se uski keys kho gai thin to ab usse ghr jane k liye Joon ka intizar krna tha. Ab pehle Joon ayega ya baarish ye dekhna abhi baqi tha.
336Please respect copyright.PENANAiplV5x7Id8
Arsalan ki nazar kuch faasle pr bethi larki pr pri. Wo aksar usse park main bethe dekhta tha. Abhi wo apni sochon main he ghum tha jb usse brabar kisi ke bethne ka ehsas hua.
336Please respect copyright.PENANAvhZF46lmLo
Joon ek gym main kam krta tha or ussey dekh kr us ke kam ka andaza lgana koi mushkil kam na tha.wo ek lamba or chode shanon wala pachis (25) sala nojawan tha.
336Please respect copyright.PENANADRNtPsXniu
Is wqt wo Arsalan ke brabar betha hath main pakre biscuit khane main masroof tha or nazarain Arsalan pr jami thin.
336Please respect copyright.PENANA0kKW6ngcn3
“ Is trhan kya dekh rhe ho?”
336Please respect copyright.PENANAuZ4c2nxeEs
Arslan ke sawal pr joon ne ussey or ghor se dekha.
336Please respect copyright.PENANA7vTP7PqfTB
“ Sach btao tumhain isse mohabbat hogai hai na?”
336Please respect copyright.PENANAubg9RfJaou
Joon ka ishara larki ki janib tha.
336Please respect copyright.PENANAlzK8pPTdJC
“ Nhe yar mujhe samjh nhe ata akhir ye itni khali ankhon k sath kya dekhti rehti hai. Hamesha itni khoi hui q lgti hai.” Wo is lrki ko takreeban teen mahine se yahan bethe dekh rha tha ab wo waqai tajasus main mubtula hone laga tha.
336Please respect copyright.PENANAab5RkRSfvN
“wah to ab tumhain ankhain prhni bhi agai” Joon ne hansi dbate huye usse cherna chaha pr Arsalan ke kuch kehne se pehle he barish shuru hogai.
336Please respect copyright.PENANAB45Brwd2ja
Wo dono apne ghr ki janib bhaage. Ghr main dakhil hoti hai Joon apne kamre ki janib brh gaya jab ke Arsalan apne kamre ki taraf. Un dono ke kamre amne samne he thy.
336Please respect copyright.PENANAXXp2uvdVe3
Kamre main dakhil hote he Arsalan ne prda hta kar sab se pehle bahar dekha. Pehle ussey park dikha or phr park main bethi wo larki. Srdion ki tez barish k bawajood bhi wo whin bethi thi. Lekin ab wo phone pr baat kr rhi thi. Phr is ne lrki ko uthte or park se bahar jate huye dekha. Wo pareshan lgti thi. Wo lambi heel pehne tez tez chal rhi thi or phr wo nazron se ojhal hogai.
336Please respect copyright.PENANAIpY1DMLGW9
Arslan khirki se hat kr bed pr seedha let gaya or sochne laga ke kam ke baad isse koi or activity dhoondni chaiye . wo fazool main is larki ke baray main janne ki koshish q kr rha tha. Khud ko dant ta wo kapre bdlne ki garz se washroon ki jaanib brh gaya.
336Please respect copyright.PENANA34VzlJdOwa
*********
336Please respect copyright.PENANAF1XSekzlik
Is waqt sham ke saat bje thy wo dono sofa pr bethe ramen khane main masroof thy.dono kapre tabdeel kr chuke thy or is wqt un ki nazren samne chlte korea or iran ke football match pr markooz thin.
336Please respect copyright.PENANAwzTnHZh69D
Kuch der guzri to kamre main rkha Arslan ka phone bjne laga. wo ramen ka bowl table pr rkhta apne kamre ki janib brh gaya.
336Please respect copyright.PENANACwYdU91rAr
Phone pr dusri taraf is ki khala thin. Arsalan ki kheriyat dryaft krne ke baad wo ussey btane lgin.
336Please respect copyright.PENANAqTPHuNdAMG
“Tumhain maloom hai zara ka gradution complete hogay hai. Wo bohot ache numbers se paas hui hai” wo bohot khushi se ussey bata rhi thin.
336Please respect copyright.PENANAdowOWNmCuW
“Bht bht mubarak ho khala apko.” Arsalan ne bhi khushi ka izhar kiya.
336Please respect copyright.PENANAqdrKVBDcPe
“Ab to tumhain mubarak bad khud he a kr deni chaiye. Kab arhe ho pakistan?”
336Please respect copyright.PENANA8hrxN4h8IE
“Jald aunga ap se milne.” Hamesha kaha jane wala jumla usne phr dohraya.
336Please respect copyright.PENANAV27OEkHjex
“ Dekho Arsalan beta ab to zara ki prhai bhi poori hogai hai. Ab hum chahte hain ke jaldi se shadian hojaye.”
336Please respect copyright.PENANAPvSu8I3TeT
Wo wohi baat kr rhi thin jo Arsalan ko blkul psnd na thi.
336Please respect copyright.PENANAKC4hL9Kbdl
“Khala mujhe ek kam se jana haii main apse baad main baat krta hun. Apna khayal rkhiye ga khuda hafiz.”
336Please respect copyright.PENANAF7VrdNoI5B
Ye keh kr usne samne se jawab sune baghair he phone bnd krdiya.
336Please respect copyright.PENANA4RHDXRxEOh
Mobile hath main liye he wo bahar aya to Joon godd main laptop rkhe, table pr tangon ki kenchi bnaye betha dikha.
336Please respect copyright.PENANAgJi2LbAaHe
“Tumne T.V q bnd kiya?”
336Please respect copyright.PENANAgXBnAcqqjw
“kyun ke main korea ko harte nhe dekh skhta.” Laptop se nazren htaye bgahir Joon ne jawab diya.
336Please respect copyright.PENANASXZx0k9ny9
Arsalan ne rmen ka bowl phr uthaya pr khane ka dil nhe chaha to wapis rkh diya. sofa se tek lgaii or ankhain bnd krlin is ke sar main drd hone laga tha.
336Please respect copyright.PENANA86xGiq13Zl
“ Phr sy khala ka phone tha? Matlab ab tum teen char din mun bnaye phiro ge”
336Please respect copyright.PENANAMTQ1wg7Dyk
Arslan ne ankhain khol kar brabar bethy Joon ko dekha to wo isse he ghoor rha tha.
336Please respect copyright.PENANA1RyMuiPZiI
“Meri baat mano saaf saaf bta do ke tumhain nhe krni shadi simple.”
336Please respect copyright.PENANAWAsXAjNA9r
Bre aram se Joon ne hal pesh kiya or aesi nazron se Arsalan ko dekha jese abhi Arsalan kahe ga k wah Joon tum kitne smart ho mujhe ye idea pehle q nhe aya.
336Please respect copyright.PENANAKHcKF7NuBK
Pr Arsalan kuch kahe bgahir he apni jaga se uthta apne kamre ki janib brh gaya.
336Please respect copyright.PENANAhq7IlcakMK
“Ufff ! ek to tum parehsan bht jaldi hojate ho”
336Please respect copyright.PENANAq3IOMjc2ZX
Joon ne bura sa mun bnaya or sar jhatakta wapis laptop main masroof hogaya.
336Please respect copyright.PENANAK06QHGcyQm
336Please respect copyright.PENANA2wL9Dm4CCu
336Please respect copyright.PENANAQmJVQIx5sM
336Please respect copyright.PENANAXZEQNhObBu
336Please respect copyright.PENANAo6kIY9p35R
336Please respect copyright.PENANAV0ZOyeag8S
336Please respect copyright.PENANAdDkxoROP15
336Please respect copyright.PENANA8M8jL6nLRO